Wednesday, February 5, 2014

Sad Poetry Wasi Shah Sad Poetry In Urdu For Girls Pics In English For Boys SMS Images Punjabi Wallpapers For Boys in Urdu

Sad Poetry Wasi Shah Biography

Source(google.com.pk)

Wasi Shah Romantic, Love, Sad, Poetry, Ghazal, SMS, Shayari

wasi shah romantic poetry, love poetry wasi shah, wasi shah poetry collection, wasi shah poetry ghazal, wasi shah urdu poetry, wasi shah sad poetry, sms

Wasi Shah is young romantic poet from Punjab Pakistan. He is well known famous and most favorite of teens college girls all age of guys and all teacher professor well educated persons. He is very great and well mannered person. Wasi Shah Poetry is truely loved by Urdu readers all over the world. Wasi Shah has written so many poetry books some of them include Mere Ho Ke Raho and Malangni. Here is some collection of Wasi Shah Poetry.

Wasi Shah Poetry

Dayar-e-gair mein kaise Tujhe sada dete
Tu mil bhi jata to Tujhe ganwa dete

Tumhin ne hum ko sunaya na Apna dukh warna
Dua wo karte k hum Asman hila dete

Hamein ye zom raha ab k wo Pukarenge
Unhen ye zid thi k Har bar hum sada dete

Wo tera gham tha k tasir mere lahje ki
K jis ko Hal sunate use rula dete

Tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
Jo ikhtiyar bhi hota to kya Bhula dete

Tumhari yad ne koi Jawab hi na diya
Mere khayal k Ansu rahe sada dete

Samton ko main ta-umr kosta Syed
Wo kuch na kahte magar Honth to hila dete

****************************

Hum ne Kushyoon ki tarah Dukh bhi Akathey dekhe
Safha zeest ko palto ge to Yaad aaonga

Usi andaz mein hote the Mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likho ge to Yaad aaonga

Sard raatoon ke mahakte huye Sannatoon se
Jab kisi phool ko Chumo ge to Yaad aaonga

Ab to ye Ashk main aakhun se Chura leta hoon
Haath se khud inhein Poncho ge to Yaad aaonga

Shal pahnaye ga ab kon December mein tumhein
Tum siya rang Pahno ge to Yaad aaonga

****************************

Kash mein tere Haseen hath ka Kangan hota
Tu bare Pyar se chao se bare maan ke sath

Apni Nazuk si Kalayi mein Charati Mujhko
Aur be tabi se Furqat ke khezan Lamhon mein

Tu kisi Soch mein doobi jo Ghumati mujh ko
Mein tere hath ki Khushboo se Mehak sa jata

Jab kabhi Mood mein aakar Mujhe Chuma karti
Tere Honton ki Hiddat se Dehak sa jata

Raat ko jab bhi tu Needndon ke safar par jati
Mar marin hath ka ik Takyah Banaya karti

****************************

Meri Aankhon ke Samandar mein Jalan kaisi hai
Aaj phir dil ko Tarapne ki Lagan kaisi hai

Ab kisi chat peh Chiraghon ki Qatarein bhi nahi
Amb tere Shehar ki Galyon mein Ghutan kaisi hai

Baraf ke Roop mein Dhal jayein gay sare Rishte
Mujh se Poocho keh Muhabbat ki agan kaisi hai

Mein tere Wasal ki Khuahish ko na Marne don ga
Mosam hijar ke lehje mein Thakan kaisi hai

Regzaron mein jo Banti rahi Kanton ki rawa
Us ki majboor si Aankhon mein Kiran kaisi hai

Mujhe Maasoom si Larki peh Taras Aata hai
Use dekhon to Muhabbat mein Magan kaisi hai
Milney ka waada
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by Kiran
Milney ka waada unke moun se to nikal hi gaya,,

!! WASI !!

~ Hum ne poochi jaga to hans k kahney lagi khawab main aa jana…

Wohi lamhaat asaasa hain mere jeevan ka,
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by Kiran
Kab nahin naaz uthaye hain tumhare mene,
Dekho aanchal pe sajaye hain sitare mene,

Wohi lamhaat asaasa hain mere jeevan ka,
Jo tere qurb mein lamhaat guzaarey mene,

Roz aate hain mujhe yaad tere zulm-o-sitam,
Roz khanjar keyi seeney mein utare mene,

Har bahana tera aankhon mein saja kar rakha,
Apne seeney se lagaye tere laaray mene,

Meri pooron se mehek ati rahi hai din bhar,
Jab bhi khawbon mein tere baal sanwarey mene,

Teri chokhatt pe keyi baar huyi mujh ko shikast,
Teri dehleez pe aansu keyi haarey mene,

Meri awaaz akeli hi palat kar aayi,
Jab musibat mein kabhi yaar pukarey mene..

Yeh jo ik shakhs tujhe dekh kar roshan hai bohat
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by Kiran
Teri har baat se anjaan bhi ho sakta hai,
Dil-e-wehshi, dil-e-nadaan bhi ho sakta hai,

Hum jahan beth ke taaron se teri baat karain,
Woh kisi jism ka dalaa’n bhi ho sakta hai,

Yeh jo ik bherriya* jungle mein hua karta hai,
Kal isi bhaiss* main insaan bhi ho sakta hai,

Ain mumkin hai jisey dil ke bajaye thaamon,
Ab kisi shokh ka damaan bhi ho sakta hai,

Titliyaan nochney* ka jurm kiya hai jis ne,
Woh mere sheher ka sultaan bhi ho sakta hai,

Aaj dil mein teri yadon ke diye jalte hain,
Kal yehi rasta sunsaan bhi ho sakta hai,

Jo tujhe aur kisi ka hone nahin deta,
Yeh mere ishq ka imkaan bhi ho sakta hai,

Yeh jo ik shakhs tujhe dekh kar roshan hai bohat,
Bujh bhi sakta hai yeh veeraan bhi ho sakta hai..

Ab magar kuch bhi nain
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by Kiran
Ab magar kuch bhi nain, kuch bhi nahin ho sakta,
Apne jazbon se yeh rangeen shararat na karo,

Kitni masoom ho, naazuk ho, hamaqat na karo,
Baar’haa tum se kaha tha ke mohabbat na karo..

Tum jis baat pe hanste ho
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by Kiran
Tum jis baat pe hanste ho main ro parta hoon,
Main jis baat pe rota hoon tum hanss dete ho,

Main jis baat pe bujh jaaon tum khil jate ho,
Main jis baat pe marta hoon tum jee uthte ho,

Main jiss baat pe dard mein dooba rehta hoon,
Tum us baat pe roshan roshan lagte ho,

Soch raha hon kitne zyada alag alag hain,
Teri meri soch ke dhaarey,
Kitne zeyada judaa judaa hain,
Soch raha hoon,
Itne mukhaalif tufaanon ko sahain ge kese,
Tum aur mein ik chat ke neechey rahain ge kese.

Dya Dye Se Jalaa Loon Tou
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by Kiran
Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe
Tumhain Galay Se Laga Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Mohabbaton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi ?
Tere Khatoot Jala Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Kesa khaufnaak sa manzar hai keyi sadiyon se,
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by Kiran
Kesa khaufnaak sa manzar hai keyi sadiyon se,
Mera qadmon pe mera sar hai keyi sadiyon se,

Khauf rehta hai na sailaab kahin le jaye,
Meri palkon pe mera tera ghar hai keyi sadiyon se,

Ashk aankhon mein sulagtey huye so jatey hain,
Yeh meri aankh jo banjar hai keyi sadiyon se,

Kaun kehta hai mulaqat meri aaj ki hai,
Tu meri rooh ke andar hai keyi sadiyon se,

Mene jis ke liye har kisi ko naraaz kiya,
Rooth jaye na yehi dar hai keyi sadiyon se,

Uss ko aadat hai jarr’en* kaat’tey rehne ki Wasi,
Jo meri zaat ka mehwar* hai keyi sadiyon se..

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by Kiran
Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,

Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,

Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,

Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….

Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai.

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by Nasira
(WASSI SHAH)

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho

Najane Phir Wo Mera Ghumgusar Ho K Na Ho

Yehi Buhat Hy K Ek Shakhs Chain Pa Jaey

Bhale Darkht Buhat Saya Dar Ho K Na Ho.. !

Isi Gumaan Ne Kbhi Lotne Diya Na Mujhy

Najane Usko Mera Intzar Ho K Na Ho

Magr Ye Tyy Hai K Me Uske Gum Men Rehta Hun

Mere Liye Wo Bhale BeQrar Ho K Na Ho

Me Dhop Ban Nhi Sakta ‘WASI’Kisi K Liye

Mere Liye Koi Abr E Bahar Ho K Na Ho.

Mohabbat Chor di ham ne…
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by iram
Kuch Waqt  ki Rawani ne

Hamen yon badal dia

urmi…..

Wafa per ab bhi qaim han

Mohabbat Chor di ham ne…

Maine bs itna btaya k MOHABAT KI THI
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by Nasira
“Wasi shah”

Tu jo bichhra to sunsaan nagar lagta hai,

Hai shehr apna anjan magar lagta hai…

Khof-e-tanhai hai mujh pe mussalat aise,

Dil dhrakSari duniya k rivajon se adawat ki thi,

Tumko Yad hai jab main ne ik hamaqat ki thi,

Usy razdan samjh kr btaya tha hal-e-dil apna,

pr us shakas ny mer”.*.*.”DUA”.*.*.”

Tere raste me khushyon k khilen kanwal,,

Tre lye umar bhr koi kehta rhe ghazal,,

To ksi ki duaon me sada rhe shamil,,

Tujhe Parwardta hai to dharkan se b dar lagta hai…

Na koi rasta hai na koi nishan-e-manzil,

Bin tere zindgi ik aisa safar lagta hai…

Aa zra dekh sahi mere igar ki rehmaten rahen hasil,,

Roshni tra muqaddar ho,,

Tre lye kamyabion ka samandar ho,,

Pare na tujh par ksi bure ki nazr,,

Na ho tujh par ksi badghar ka aalum,

Tu nahi to veeran khandar lagta hai…

Dard ahbaab se itne mile hain “”WASI”"

Ab to apne hi saye se dar lagta haI…..! aa k

Itny roey thy k aankhun ny qayamt ki thi

Mery ujarny ka jb b kisi ny pocha Mohsin

Maine bs itna btaya k MOHABAT KI THI.-dua ka asar,,

Har lab par ho tre lye dua,,

Tre sath rhe umar bhr mri ye DUA..!!

“Na kar bayan us se haal-e-dil ‘wasi’..”
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by Nasira
“Na kar bayan us se haal-e-dil ‘wasi’..”

“Maghroor sa shaks hay kahin sath na chhor day..”

Hum se zindagi ki haqeeqat na puch,
Posted in Poetry sms,Wasi Shah Poetry by Nasira
Hum se zindagi ki haqeeqat na puch,

“wasi”

Bohat pur khalos

log thy jo tanha kar gaye!

No comments:

Post a Comment